donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kahaaN se aa gaYe tum ko nah jaane *
kahaaN se aa gaYe tum ko nah jaane
bahaane, aur phir aise bahaane!

koyee yeh baat maane yaa nah maane
mujhe dhokaa diyaa mere Khudaa ne!

zamaanah kyaa bohat kaafee naheeN thaa?
jo tum aaYe ho mujh ko aazmaane!

laboN par muhr-e-Khaamoshee lagee hai
diloN meN band haiN kitne fasaane!

nah maut apnee nah apnee zindagee hai
magar Heele wohee haiN sab puraane! 

zamaaneh ne lagaayee aisee Thokar
hamaare hosh aaYe haiN Thikaane!

kahaaN tak tum karo ge fikr-e-dunyaa?
chale aa,o kabhee tum bhee manaane

hawaa-e-naamuraadee! tere Sadqe
bahaar apnee, nah apne aashyaane!

Zaraa dekho keh Dar kar bijliyoN se
jalaa Daale Khud apne aashyaane!

mileN ge ek din "Sarwar" se jaa kar
agar taufeeq dee ham ko Khudaa ne!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363