donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* jo ghaRee hai so aanee jaanee hai *
jo ghaRee hai so aanee jaanee hai
naam is kaa hee zindigaanee hai!

dil-rubaayee hai, dil-sitaanee hai
jaane kyaa tum ne jee meN Thaanee hai!

aap-beetee hai, nauHah-Khwaanee hai
zindagee kee yehee kahaanee hai!

SubH kuchh aur, shaam ko kuchh aur
koyee to wajh-e-sar-giraanee hai?

aa shab-e-Gham! gale lagaa looN maiN
tujh ko ik daastaaN sunaanee hai!

teree chaahat ne kar diyaa majboor
muKhtaSar see yehee kahaanee hai!

ek aataa hai ek jaataa hai
sach hai, duniyaa saraa-e-faanee hai!

ek haath denaa, doosre lenaa
reet duniyaa kee yeh puraanee hai!

rooTh kar Khud hee maan jaate haiN
mehrbaanee see mehrbaanee hai!

daastaaN sun ke kyaa karo ge tum?
kab miree baat pehle maanee hai?

i'shq kee intihaa kise ma'loom?
hai zamaanee nah yeh makaanee hai!

haaYe naa-kaamiyaaN muHabbat kee
maiN hooN aur meree saKht-jaanee hai

hai Ghazal jaaN-fizaa tiree :Sarwar:
dilkashee is meN hai, rawaanee hai!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 353