donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* aa,eenah-e-Hairat hooN tiree jalwah-garee kaa *
aa,eenah-e-Hairat hooN tiree jalwah-garee kaa
a'alam hai ab dekh miree be-Khabaree kaa!

bad-naamee-o-ruswaayee kaa, aashuftah-saree kaa
ilzaam-e-zamaanah hai mujhe be-hunaree kaa!

mat chheR mujhe, baaz aa! ai gardish-e-dauraaN!
kyaa Khauf naheeN tujh ko Zaraa pardah-daree kaa?

dekhaa to bohat Khud ko magar kuchh naheeN dekhaa
anjaam hai shaayad yeh miree kam-naz^aree kaa

naz^roN se giraa maiN kabhee, dil se kabhee utraa
kyaa Khoob tamaashah hai miree dar-badaree kaa!

ham Khastah-nafas chain se kab baiThne paaYe
dhaRkaa jo rahaa zeest kee bedaad-garee kaa!

kehtaa hooN Ghazal Sirf Ghazal kehne kee Khaat^ir
warnah mujhe kuchh shauq naheeN naam-waree kaa

"Sarwar"! koyee dam baiTh lo arbaab-e-junooN meN
:kyaa yaar! bharosah hai chiraaGh-e-saHaree kaa:!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 332