donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* nigaah-e-Husn-o-adaa jis ko sharm-saar kare *
nigaah-e-Husn-o-adaa jis ko sharm-saar kare
woh kyoN nah aisee HaseeN zindagee se pyaar kar?

a'jeeb mo'jize ik larzish-e-sharaar kare!
hazaar raaz-e-junooN mujh peh aashkaar kare!

hameN naheeN rahaa ab e'tibaar wa'de kaa
jise ho karnaa qiyaamat kaa intiz^aar kare!

umeed, aarzoo, Hasrat, muraad, naumeedee
saKhawatoN kaa tiree koyee kyaa shumaar kare!

hameN nah roko muHabbat meN jaaN-nicaaree se
koyee jo kar nah sake woh faraaz-e-daar kare

daraaz-dastee-e-ahl-e-Khirad, ma,a'aZ-Allah!
Zaraa see baat peh ahl-e-junooN ko Khwaar kare

Hayaat kuchh naheeN juz kaargaah-e-naumeedee
ma,aal-e-zeest kaa phir kaun e'tibaar kare!

kabhee nah ho sakaa Khushboo-e-laalah-o-gul se
woh kaar-e-Khair jo andaaz-e-nok-e-Khaar kare!

idhar hai gardish-e-dauraaN, udhar Gham-e-hijraaN
ik ashkbaar kare, ek be-qaraar kare

Khirad peh khul to gayee hosh kee subuk-saaree
jo kar sake to junooN ab woh iKhtiyaar kare!

sunaa thaa dost baRe Gham-gusaar hote haiN
koyee nah dostee tujh se Khayaal-e-yaar! kare

tamaam ho chukaa ab maatam-e-KhizaaN "Sarwar"
"kaho Sabaa se bahaaroN kaa kaarobaar kare"!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 352