donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* yaqeeN ho, Khwaab ho, shak ho, gumaaN ho *
yaqeeN ho, Khwaab ho, shak ho, gumaaN ho
agar kuchh ho to aaKhir tum kahaaN ho?

miree rag rag meN roz-o-shab rawaaN ho
balaa se gar nigaahoN se nihaaN ho!

kahaaN insaan woh jaaYe keh jis ke
zameeN neeche, nah sar par aasmaaN ho?

maiN katraa kar chalaa jab zindagee se
woh bolee :ai miaaN! jaate kahaaN ho?:

yehee aaNsoo zabaan-e-bekasee haiN
kisee Soorat to afsaanah bayaaN ho

nah chheRo nakhat-e-gul ko nah chheRo
Khudaa ma'loom kis kee raazdaaN ho!

maiN apne aap ko bhoolaa hooN, jaise
Khud apnee yaad, yaad-e-raftagaaN ho!

muHabbat kee zabaaN hai be-zabaanee
muHabbat kyaa agar us kee zabaaN ho?

Khudaayaa! yeh dil-e-naakaam meraa
Ghubaar-e-Khaat^ir-e-SaaHib-dilaaN ho!

jalaa dooN Khud hee apnaa aashyaanaa
tiraa eHsaan kyoN barq-e-tapaaN! ho?

chalo to is t^araH raah-e-wafaa meN
nah manzil ho, na manzil kaa nishaaN ho!

kahaaN ab kaarwaan-e-Mir-o-Ghalib?
tum ab "Sarwar" Ghubaar-e-kaarwaaN ho!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 365