donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* zamaane kee adaa hai kaafiraanah *
zamaane kee adaa hai kaafiraanah
judaa meree hai t^arz^-e-a'ashiqaanah!

tiraa Zauq-e-t^alab naa-maHramaanah!
nah aah-e-SubH, nay soz-e-shabaanah!

shabaab-o-she'r-o-SeHbaaYe-muHabbat
bohat yaad aaYe hai guZraa zamaanah!

:cheh nisbat Khaak raa baa a'alam-e-paak:?
kahaaN maiN aur kahaaN woh aastaanah!

bohat naazuk hai har shaaKh-e-tamannaa
banaaYeN ham kahaaN phir aashiyaanah?

makaaN jo hai woh a'ks-e-laamakaaN hai
agar teree naz^ar ho a'arifaanah

miree aah-o-fuGhaaN ek nai-nawaazee!
miraa Harf-e-shikaayat? shaa,i'raanah!

maiN naz^reN kyaa milaataa zindagee se!
uTheeN! lekin uTheeN woh mujrimaanah!

hamaaree zindagee kyaa zindagee hai!
magar ik saaNs lene kaa bahaanah!

mujhe dekho, miree Haalat nah poochho
mujhe aataa naheeN baateN banaanaa!

ulajh kar reh gayaa maiN roz-o-shab meN
samajh meN kab yeh aayaa taanaa-baanaa?

nah dekho is t^araH mujh ko, nah dekho!
bikhar jaa,ooN nah ho kar daanah daanah!

mujhe hai har kisoo par Khud kaa dhokaa
yeh dunyaa hai yaa hai aa,eenah-Khaanah?

nikaalo raah apnee aap "Sarwar"
kabhee dunyaa kee baatoN meN nah aanaa
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 362