donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* uThe ham Khastah-dil, aashuftah-sar, be-iKhtiyaar uTThe *
uThe ham Khastah-dil, aashuftah-sar, be-iKhtiyaar uTThe
bahaar aayee, qadam phir dasht ko deewaanah-waar uTThe

kuchh ab ke mausam-e-gul meN naheeN woh baat pehlee see
nigaah-e-naaz se keh do nah woh yooN sogawaar uTThe 

gunaah-e-aarzoo aisaa gunah to ho naheeN saktaa
phir aaKhir kyaa huwaa? kyoN bazm se ham dil-figaar uTThe?

idhar ham bazm se uTThe, udhar baiThaa dil-e-meHzooN
nah uThnaa thaa, nah uTThe ham agar.ch baar baar uTThe!

baRee pur-lut^f meHfil hai, chaleN to HaZ^rat-e-waa,i'z^
paRheN ge sau namaazeN ham agar aap ek baar uTThe!

kahaaN se himmat-e-Sad-intizâar-e-jaam-e-mai laaYeN?
Khudaa raa saaqiyaa! maigooN naz^ar bas ek baar uTThe

ta,a'jjub se nigaah-e-lut^f kaa muNh tak rahaa hai dil
Khudaa-naa-Khwaastah aisaa kisee kaa e'tibaar uTThe!

chaman tak kyoN chaleN? Zauq-e-junooN meN zor gar kuchh hai 
dil-e-deewaanah se hee jhoom kar faSl-e-bahaar uTThe

nigaah-e-sharmsaar-e-Husn-o-ra'naayee se poochheN ge
qadam kyoN soo-e-SeHraa is t^araH begaanah-waar uTThe 

yahaaN dast-e-t^alab z^arf-e-junooN se bhee siwaa-tar hai
ta,a'jjub kyaa agar dunyaa se dil be-e'tibaar uTThe?

abhee Zauq-e-gunah meN tishnagee meHsoos kartaa hooN
usee andaaz se lillaah! chashm-e-maigusaar uTThe

kahaaN tak ro,iYe :Sarwar: keh ab to waqt-e-aaKhir hai
bharee meHfil se kaise kaise raNgeeN baadah-Khwaar uTThe!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 347