donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ik Zaraa se der ko naz^roN meN aane ke liYe *
ik Zaraa se der ko naz^roN meN aane ke liYe
tum ne :Sarwar: kis qadar iHsaaN zamaane ke liYe!

ik tamannaa, ek Hasrat, ik umeed, ik aarzoo
hai agar kuchh to yehee hai sar chhupaane ke liYe

kaam kyaa aayaa dil-e-muZ^t^ar maqaam-e-zeest meN
ek dunyaa aa gayee baateN banaane ke liye!

meree tanhaayee mire Gham kaa madaawaa ban gayee
raat maiN Khud se milaa sun,ne sunaane ke liYe

waqt jaisaa bhee guzar jaaYe Ghaneemat jaaniYe
kyaa Khabar kal aaYe kaisaa aazmaane ke liYe!

baargaah-e-Husn meN hai a'ajizee me'raaj-e-i'shq
sar jhukaanaa hai Z^arooree sar UThaane ke liYe!

woh nigaah-e-sharmageeN aur woh tabassum zer-e-lab
ik sataane ke liye, ik aazmaane ke liYe!

ahl-e-dunyaa ko naheeN miltaa koyee kyaa doosraa
reh gayaa hooN maiN hee "Sarwar" yooN sataane ke liYe?
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 442