* Is tgaful kaa bhi zvaab nahi'n *
Ghazal
Is tgaful kaa bhi zvaab nahi'n
bevfaai ka kuch hisaab nahi'n
khat use mai bhi ab nahi likhti
bejhta vo bhi aab gulaab nahi'n
aaz purvaaiya'n si chalti hai'n
zakhm ko aaz mete taab nahi'n
bas andhera hai or tanhaai
meri baho'n me'n mahtaab nahi'n
padh skegaa naa koi e "seema"
dil hmara hai ye kitaab nahi
(seema gupta)
|