|
* Is duniyaa me.n sab hai.n akele *
Is duniyaa me.n sab hai.n akele,
koii kisii kaa nahii.n,
kaisii mohabbat kasii vafaaye.n kaise pyaar ke sapane,
aaj Khayaalo.n me.n bhii nahii.n hai.n saath jo the kal apane,
jhuuThee hai.n sab jag ke mele,
saayaa bhii apanaa nahii.n,
kaaGhaz kii ek naa.Nv hai jiivan koii nahii.n hai maa.Njhii,
biich bhavar me.n kaun banaa hai Duubate man kaa saathii,
kahate hai.n maujo.n ke rele,
koii kinaaraa nahii.n,
|
|