donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shafiq Khalish
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* phir woh pehli si thii jo baat na ho jaaye kahiN *
phir woh pehli si thii jo baat na ho jaaye kahiN
dil shinaa'saa'ye kharaabaat na ho jaaye kahiN

gum ta'aaqub meN tire zaat na ho jaaye kahiN
roaz-e-roshan bhi mira, raat na ho jaaye kahiN

dil se apne rahe khadsha, ke tujhe daikh ke phir
munharaf mujh se yeh bad zaat na ho jaaye kahiN

door rehta hooN, tau dartaa hooN ke is doori se
sard yeh shorash-e-jazbaat na ho jaaye kahiN

laut aaooN jo tire she'r, tau dhRkaa yeh rahe
piyaar phir shaamil-e-haalaat na ho jaaye kahiN

mat gino apni safaaii meN karam yuN, keh mira
dil bhee maayal ba hisaabaat na ho jaaye kahiN

baat kehne ki khalish dil meN hai jo, keh daalo
gham ki, seene ko yeh saughaat na ho jaaye kahiN
****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 321