donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shafiq Khalish
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* doRe aa'tay thay mire paas sada say peHlay *
GHAZAL

doRe aa'tay thay mire paas sada say peHlay
ab woh shayad hi kabhi aa'eN qaza say peHlay

aa'da'taiN saari inaa'yat ki badal deeN usnay
ab tasal'lee nahiN daitay woh saza say peHlay

roz-o-shab woh bhi azziyat meN ho'ay haiN shaamil
yaad-e-janaaN meN jo rehtay thay juda say peHlay

khuwaahisheN saari jo pinhaaN haiN miray seenay meN
poori honay ki nahiN teri wafa say peHlay

naaz-o-andaaz hai kiya, husn kay nakhray kiya haiN
kuch bhi maloom nah tha unki ada say peHlay

khuL gaii wasl ki shab unki ha'qeeqat ham par
kitnay masoom say lag'tay thay haya say peHlay

cha'Hay janay peh hi, woh ho'ga'ay badnaam KHALISH
kiya saza paaii hai nisbat ki khata say peHlay

by shafiq khalish
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 312