donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shafiq Khalish
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* daba'ay daantoN meN apni zubaan baithe haiN *

daba'ay daantoN meN apni zubaan baithe haiN
hum unse kuch na kaheNge yeh thaan baithe haiN

ra'hay ghizaal meN baandhe machaan baithe haiN
hum aazmane ko qismat hi aan baithe haiN

kushadah dil haiN muhabat meN, koaf kuch bhi nahiN
kareN tau zulm bhi, hum par jo thaan baithe haiN

nahiN hai un se hamaari koii shinaasaaii
gali meN, shoaq-e--tajalli meN aan baithe haiN

kahaaN hum aise, ghizaaloN ke rum se hoaN aajiz
utaarne ko zarai si takaan baithe haiN

khuda kare woh haqeeqat meN hum ko mil ja'ay
tasaowarroN meN jise apna maan baithe haiN

kahaaN yeh gham, keh rahi paas kuch nahin raahat
hum apni sari khushii ker ke daan baithe haiN

bachaa kuch aur nahiN, waarne ko jaaN ke siwaa
looTa'ay ishq meN donoaN jahaan baithe haiN

sitam se unke KHALISH, zindagi lab-e-dum hai
magar woh aur, zara aur thaan baithe haiN

by shafiq khalish
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 326