donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shafiq Khalish
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* daa'we laboN peh jin ke hamaishah wafa ke haiN *
daa'we laboN peh jin ke hamaishah wafa ke haiN
dil par hamare zakhm, unhii ki saza ke haiN

hijrat, malaal, be-watani, be-kasi, alam
sare samar yeh apni hi shaakh-e-duaa ke haiN

unki wafaa ki baat ka ker ke yaqeen ham
yeh sochte haiN kiya bhala maani wafa ke haiN

afsoas un ko hoga hamaiN yaad ker ke kal
masroor aaj ham peh jo toHmat laga ke haiN

kerte zaroor dil ka koi intizaam ham
gar jaante, keh unke irade dagha ke haiN

har baar un ki jhooT peh aa'jaata hai yaqeeN
alfaaz yuN zubaaN peh woh laate saja ke haiN

kuch dair qurbatoaN ka maza looTne to daiN
atwaar chahatoN meN bhi jin ke qaza ke haiN

yeh dooriyaaN daba na sakeN be-qarariyaaN
baithe dayaar-e-ghair meN dil ko daba ke haiN

jaati kahaaN haiN jee se woh fitnah numa'eyaaN
ab bhi fusooN nigahoN meN un ki ada ke haiN

kab rahm roaz-o-shab ko mire haal par yahaaN
aa'laam hijratoN ke to dugni saza ke haiN

kiyuNkar utha'aeN hashr peh, dil ka muaam'lah
taalib to ham jahaaN meN hi roaz-e-jaza ke haiN

ilzaam zindagi peh KHALISH kiya dhareN, ke jab
aazaar ham peh saare hi dil ki khataa ke haiN

by shafiq khalish
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 346