donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shafiq Khalish
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* woh jis ki yaad meN nainaaN hamare tar se rahe *
woh jis ki yaad meN nainaaN hamare tar se rahe
ab us watan ko bhi jane ko, jaaN ki Dar se rahe
 
jahaaN meN jis ki tawassut se be samar se rahe
hamare haal se woh bhi to be khabar se rahe
 
huwaa na tark-e-watan se bhi kuch hamaiN haasil
dayaar-e-ghair meN aakar bhi, dar ba dar se rahe

khuda gawaah hai, keh rehna yahaaN nahiN tha hamaiN
watan meN jaan gauNwane ki, apne Dar se rahe

woh jin ko jaan bhi laine peh kuch malaal na ho
khuda ka shukr ke mehfooz un ke shar se rahe
 
ra'hay faraib meN chal ker jo ho ga'ay pukhtah
woh zindagi ki kisi aur ab Dagar se rahe
 
ham un ki baatoN meN aakar wahaaN chale jaaeN
watan ke loag ab aise na moatabar se rahe

KHALISH, malaal rahe, yuN ke ham hamaishah hi
kisi hi saan'hah hone ka, muntazar se rahe
 
by shafiq khalish 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 358