donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shafiq Khalish
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* azaab-e-zeest ki samaaniyaaN nahiN jaateeN *
Ghazal by
shafiq khalish

azaab-e-zeest ki samaaniyaaN nahiN jaateeN
miri nazar se woh raana'e'yaaN nahiN jaateeN

bichaR ke tujh se bhi parcha'e'yaaN nahiN jaateeN
jo tere dam se theeN shunwa'e'yaaN nahiN jaateeN

go aik umr judaaii meN ho gaii hai basar
khayaal-o-khauwaab se angRa''e'yaaN nahiN jaateeN

murad dil ki bhi koii kahaN se bhar aa'ay
jab is hayaat se naakamiyaaN nahiN jaateeN

ek aarzoo thi jo hasrat meN Dhal chuki kab ki
magar khayaal se shehnaa'e'yaaN nahiN jateeN

hazaar mehfil-e-khoobaaN meN jaa ke daikh liya
mili jo tujh se haiN tanhaa'e'yaaN nahiN jaateeN

zamane bhar ki dukhoN ka huwaa hai dil maskan
ghamoN ki mujh peh yeh aasaaniyaaN nahiN jaateeN

husool-e-yaar ke zumre meN kuch numayaaN se
amal na thay, ki pashaimaniyaaN nahiN jaateeN

deeyay jo charah garoN ne, ham aazmaa bhi chuke
kisi bhi nuskhe se be-taabiyaaN nahiN jaateeN

KHALISH, jo hote muqadar ka tum sikandar to
tumhari zeest se raana'e'yaaN nahiN jaateeN

shafiq khalish
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 293