|
* Yu'n apne khaabo'n mein girta-sam'bhalta rahta hoo'n *
Yu'n apne khaabo'n mein girta-sam'bhalta rahta hoo'n,
Mai'n teri yaad se aage nikalta rahta hoo'n.
Wo meri neendo'n mei'n utre, toh kyu'n na thakk jaaye?
Mai'n apne khaabo'n ke manzar badalta rahta hoo'n.
Mai'n dhoond leta hoo'n har-baar koi oss ki boond,
Phir uss-ki yaad ki bhatti mei'n jalta rahta hoo'n.
Wo aik naam, jo be-chain karta rahta hai !
Usi ko soch ke aksar bahalta rahta hoo'n.
Jo uss-ka dil hai,na meri hawas,faqat ek khaab,
Usi khilaune ki khaatir machalta rahta hoo'n.
|
|