* Kyo’n kahte ho paao'n nahi ghar calta hai *
Kyo’n kahte ho paao'n nahi ghar calta hai
aisi hii bato'n per khanjar chalta hai
aasooda hai kaun tamasha beeni se
aankhei'n thak jaati hai'n khanjar chalta hai
raat gaye aapas mei'n sab mil jaate hai'n
khawbo'n ki duniya mei'n bistar chalta hai
sheeshe ka ghar accha lagta hai lekin
sheeshe ki ghar per hii patther chalta hai
pyas bujhana sahil sahil jaaker kya
khud aayega khoob samundar chalta hai
bahar bahar yoo'n hii nahi'n mai'n betarteeb
tez hawa ka jhonka ander chalta hai
'Shahid' woh manzar kaisa hota hai jab
pagdandi per chaand utar kar chalta hai
|