donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahida Tasneem
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Us ka badal na paaye to,apna badal ke dekh *
Us ka badal na paaye to,apna badal ke dekh,
Gar ikhtelaf hai to,nazariya badal ke dekh,
Soorat se meri aayina ukta gaya mera,
Kahne laga hai ab mujhe,chehra badal ke dekh,
Alfaaz ke asar se palat jati hai besat,
Daurane guftagu zara,lahja badal ke dekh,
Nakam hi raha hai agar tera har safar,
Rahber badal ke dekh,ya rasta badal ke dekh,
Ab is feza mei'n rahne lagi mustaqil ghutan,
Dil kah raha hai ab yeh elaqa badal ke dekh,
tujhse kinara kash hai'n agar tere aashna,
Mera yeh mashwira hai,ravaiya badal ke dekh,
Kab tak shikast "Shahida Tasneem" khayegi,
Is na muraad khel ka, paasa badal ke dekh.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 381