donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahryar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye kyaa jagah hai dosto ye kaun saa dayaar hai *
Ye kyaa jagah hai dosto ye kaun saa dayaar hai
hadd-e-nigaah tak jahaan Ghubaar hii Ghubaar hai

ye kis mukaam par hayaat mujh ko leke aa gaii
na bas Khushii pe hai jahaan na Gham pe ikhtiyaar hai

tamaam umr kaa hisaab maangatii hai zindagii
ye meraa dil kahe to kyaa ye Khud se sharmsaar hai

bulaa rahaa kyaa koii chilamanon ke us taraf
mere liye bhii kyaa koii udaas beqaraar hai

na jis kii shakl hai koii na jis kaa naam hai koii
ik aisii shai kaa kyon hamen azal se intazaar hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 371