donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeel Gwaliori
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo dayere me'n hai woh dayere se bahar hai *
Jo dayere me'n hai woh dayere se bahar hai 
Jo aayene me'n hai woh aayene se bahar hai 
Main apne aap se kuchh mawara sa lagta hoo'n 
Woh mujh me'n rah ke zara fasle se bahar hai 
Mere talash se hat kar kahin milega mujhe 
Woh la pata to nahi hai pate se bahar hai 
Pukarta hai wahi mujh ko behunar kahkar 
Hunar mera jo mere mashghale se bahar hai 
Jo horaha hai  woh aik hadsa hai is roo se 
Kisi bhi zehan ke soche hue se bahar hai 
Abhi kisi ki nazar hi nahi pari us par 
"Shakeel" aisa kahan qafle se bahar hai 


Shakeel Gwaliori
loha ghat , Lashkar, 
Gwalior -274001(M.P)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 383