donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Hashimi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yaad ka nashtar jo tanhaayi nukeela kar Gayi *

Dr. Shamim Hashimi

 

Yaad ka nashtar jo tanhaayi nukeela kar Gayi

Wakt ke suukhay huwe zakhmoN ko giila kar gayi

 

Waqt padne par wafa teri jo haila kar gayi

Zindagii ka peich-o-kham kuch aur dheela kar gayi

 

Dard ki bhatti me meri tishnagi tapti rahi

Aanch ki shiddat badan ka rang neela kar gayi

 

Dil ke sehra me kisi ki yaad ke talway jalay

Aankh ki baarish sulagti ret giila kar gayi

 

Unki aankhoN se bahut bachne ki koshish ki magar

Baat hi aisi thi jo chehre ko piila kar gayi

 

Yaad-e-maazi zehn ke sehra se yuN guzri “Shamim”

Fikr ke bikhre huwe zarroN ko tiila kar gayi

***************

 

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 294