donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Hashimi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Fiza me tairtay rahtay ho tum khabar ki tarah *

Dr. Shamim Hashimi

 

Fiza me tairtay rahtay ho tum khabar ki tarah

Mai ik kinaaray pada hu shikasta par ki tarah

 

Chahal pahal nahi koi na zindagi ka nishaN

Mera wujood hai tanha udaas ghar ki tarah

 

Ameer-e-shahr ne shak ki nigaah se dekha

Gareeb-e-shahr hai hamraah hamsafar ki tarah

 

Tu aik manzil-e-mohuum justjoo mai teri

Mera wujuud hai sunsaan rahguzar ki tarah

 

Har aik lamha har ik pal bikhar raha hia wujuud

khizaaN ki dhuup me jhadtay huwe shajar ki tarah

 

wo aik lafz saraapa hai raat ki suurat

ham aik maani-e-beparda haiN sehar ki tarah

 

tumhiiN kaho ki tumhaiN log kya kahengay Shamim

khabar ki dunya me rahte ho bekhabar ki tarah

**************

 

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 251