donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Hashimi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mila jahaan me job hi udaas udaas mila *

Dr. Shamim Hashimi

 

 

Mila jahaan me job hi udaas udaas mila

Hamaaray ahd ka har shakhs badhawaas mila

 

Talaash jiski mujhe duur duur rahti thi

Khuli jo aankh to wo mere dil ke paas mila

 

Padha kabhi jo teri zindagi ka afsana

Meray lahoo ka kuchh usmaiN bhi iqtibaas mila

 

Samajh raha tha zamaana hai saath saath maagar

Nazar uthaayi to veeraana aas paas mila

 

Qusuur kiska hai meri samajh me aa na saka

Lahoo luhaan tamaddan ka har libaas mila

 

"Shamim" un ki inaayat hai aur kya kahiye

 ke meri fikr-o-nazar ko naya libaas mila

******************

 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 244