donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Hashimi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Lizzat e aish agarche mujhe maaluum nahi *

Shamim Hashimi

 

Lizzat e aish agarche mujhe maaluum nahi

Lizzat e dard e jigar say to mai mahroom nahi

Aap ka shayva faqat mere gunaahon ka shumaar

Mai gunahgaar sahi, aap bhi maasuum nahi

Na sahi meri wafa ka kahi charcha lekin

Aap ki deeda dilayri ki kahan dhuum nahi

Haath malne ke siwa aur na kuchh haath aaya

Waqt ki qadr jahaan me jisay maaluum nahi

Raaz afshaa huwa jata hai teri ujlat se

Dil e baytaab thahar, itna abhi jhoom nahi

us taraf saikdon talwaar, idhar  ek “Shamim”

Fatah ka jashn  kidhar hoga ye maaluum nahi.

 

شمیؔم ہاشمی

 

لزّت عیش اگرچہ مجھے معلوم نہیں

لزّت درد جگر سے تو میں محروم نہیں

آپ کا شیوہ فقط میرے گناہوں کا شمار

میں گنہگار سہی، آپ بھی معصوم نہیں

نہ سہی میری وفا کا کہیں چرچا لیکن

آپ کی دیدہ دلیری کی کہاں دھوم نہیں

ہاتھ ملنے کے سوا اور نہ کچھ ہاتھ آیا

وقط کی قدر جہاں میں جسے معلوم نہیں

راز افشا ہؤا جاتا ہے تری عجلت سے

دل بے تاب ٹھہر! اتنا ابھی جھوم نہیں

اس طرف سیکژوں تلوار، ادھر ایک شمیؔم

فتح کا جشن کدھر ہوگا یہ معلوم نہیں

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 275