|
* Raat bhar kya kya yaqeen-o-wehm mein chashmak rahi *
Raat bhar kya kya yaqeen-o-wehm mein chashmak rahi,
ye gumaan tha ya dar-e-dil per koii dastak rahi,
ham to saari umr ashqon ke sahare jee liye,
zindagi to bewafaa thi ik tabassum tak rahi,
umr bhar sabki nigahoN mein khataktaa hi raha,
jurm itna tha ke haq-goii mera maslak rahi,
ab na wo sang-e-malamat hai ne wo taanoN ka shor,
uski basti mein ye raunak bhi mere dam tak rahi,
saaya-e-zulf-e-sanam ki yaad tera shukriya,
raat aatish khaan-e-dil mein badi thandak rahi
|
|