|
* Tark e muhabbat par bhi hogi un ko nidamat ham se ziyada *
Tark e muhabbat par bhi hogi un ko nidamat ham se ziyada,
Kis ne ki hai kaun karega un se muhabbat ham se ziyada,
Hamane mana aap may hogi sabr ki taqat ham se ziyada,
Dekhiye lekin utari hui hai ap ki surat ham se ziyada ,
Uff wo tabassum halka halka haye wo bhigi bhigi palaken ,
Waqt e rukhsat un pe giran tha lamaha e rukhsat ham se ziyada,
Koi tamanna koi masarrat dil ke qarib ane hi na di,
Kisane ki hai ishq may yaron gam se muhabbat ham se ziyada.
|
|