donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Jaipuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye barhami ki naz e iltifat ke bad *
Ye barhami ki naz e iltifat ke bad,
Ham ko maut ka paigam hai hayat ke bad,
Ye kufr o din ka fasana ye zikr e dair o haram,
Aziz hai magar un ki tuwajjihat ke bad,
Kis Pe ashk e alam dil may pas e zabt e fugan,
Jo ham hanse to bhi kitane takallufat ke bad,
Ab aur hadase kya pesh ayenge ai dil,
Hamari un ki muhabbat ke hadasat ke bad,
Ham ahal e hijr ko lutf e sahar nasib kahan,
Yahan to rat hi ai hamesha rat ke bad,
Kabhi karam hi karam tha aur ab sitam bhi nahi, 
Tagaful aur phir itani tawajjuhat ke bad.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 563