|
* Tera jalwa nihayat dil nashi'n hai *
Tera jalwa nihayat dil nashi'n hai,
Muhabbat lekin is se bhi hasin hai,
Junun ki koi manzil hi nahi hai,
Yahan har gam gam e awwali hai,
Suna hai yun bhi aksar zikr un ka,
Ki jaise kuch ta`alluq hi nahi hai,
Masiha ban ke jo nikale the ghar se,
Lahu maytar unhin ki astin hai,
Main rah e ishq ka tanaha musafir,
Kise awaz dun koi nahi hai,
`Shamim` us ko kahin dekha hai tum ne,
Suna hai wo rag e jan ke qarin hai. |
|