|
* Ilahi kash Gham e ishq kaam kar jaye *
Ilahi kash Gham e ishq kaam kar jaye,
Jo kal guzarani hai mujh pe abhi guzar jaye,
Tamam umr rahe ham to Khair kanton may,
Khuda kare tera daman gulo'n se bhar jaye,
Zamana ahal e Khirad se to ho chuka mayus,
Ajab nahi koi diwanakam kar jaye,
Hamara hashr jo kuch hua, hua lekin,
Dua ye hai ki teri aqabat sanwar jaye,
Nigah e shauq wahi hai nigah e shauq "Shamim",
Jo ek bar rukh e yar par Thahar jaye. |
|