donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Jaipuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil lagaane kii kisii se vo sazaa paayii ke bas *
Dil lagaane kii kisii se vo sazaa paayii ke bas,
aisii aisii ishq meN is dil meN ban aayii ke bas,
kyaa Khabar Kaabaa thaa but-Khaanaa thaa yaa kuu-e-dost,
chalte chalte daf’atan mujhko niiNd aayii ke bas,
ab to sab kahne lage diivaanaa-diivaanaa mujhe,
aur hai manzuur tumko apnii rusvaa’ii ke bas,
yuuN to muddat tak nahiiN aayaa kabhii unkaa Khayaal,
aur jab aaye to unkii aisii yaad aayii ke bas,
vo nigaah-e-naaz achaanak multafit kyaa ho gayii,
zindagii ne liyaa yakaayak aisii angRaa’ii ke bas,
merii barbaadii par jab izhaar-e-Gham usne kiyaa,
yuuN be-saaKhtaa aisii haNsii aayii ke bas,
aur bhii haalaat naazuk ho gaye ab ishq meN,
ai “Shamim” unkii vafaa kuch aisii raas aayii ke bas.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 524