donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Jaipuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bevafaa tere ruuTh jaane se *
Bevafaa tere ruuTh jaane se,
aaNkh miltii nahiiN zamaane se,
aarizaa ho gayaa hai rone kaa,
chand ghaRiyoN ke muskuraane se,
(aarizaa : compensate)
kitne tuufaaN uTheNge saahil par,
ek kashtii ke Duub jaane se,
DhuuNd aayaa tujhe zamaane meN,
tum kahaaN gum ho ek zamaane se,
ab to duniyaa se jaa rahaa huuN main,
lauT aao isii bahaane se,
kis qadar baRh gayii hai lazzat-e-Gham,
shiddat-e-Gham meN muskuraane se,
(shiddat-e-Gham : intensity of pain)
daar hii ko gale lagaao “Shamim”,
maut behtar hai sar jhukaane se.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 632