|
* Gham uThaane kaa qariinaa aa gayaa *
Gham uThaane kaa qariinaa aa gayaa,
dostoN ke saath jiinaa aa gayaa,
unke qadmoN tak rasaa’ii kii Khushii,
jaise saahil tak safiinaa aa gayaa,
(rasaa’ii : access; safiinaa : boat)
mere hoNToN par tabassum dekh kar,
ek sitamgar ko pasiinaa aa gayaa,
unkaa saahil pe kahiiN lagtaa hai jii,
jinko tuufaanoN meN jiinaa aa gayaa
kis tarah hogii talaafii-e-sitam,
kyaa unheN zaKhmoN kaa siinaa aa gayaa,
(talaafii-e-sitam : reparation of cruelty)
taubaa bhii kar leNge vaaiz phi kabhii,
ab to saavan kaa mahiinaa aa gayaa,
unkaa daaman haath kyaa aayaa “Shamim”,
saare aalam kaa Khaziinaa aa gayaa.
|
|