donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Jaipuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Baa-vafaa’ii kii adaa paane lagaa huuN tujh meN *
Baa-vafaa’ii kii adaa paane lagaa huuN tujh meN,
ai jafaa-dost ye kyaa dekh rahaa huuN tujh meN,
(baa-vafaa’ii : fidelity; jafaa-dost : unfaithful friend)
tuu daryaa hai ke jiskaa ko’ii saahil hii nahiiN,
maiN safiine kii tarah Duub gayaa huuN tujh meN,
tere chehre se haTaa’ii nahiiN jaatii nazreN,
kyaa Khabar der se kyaa dekh rahaa huuN tujh meN,
meraa daavaa hai ke tuune bhii na dekhe hoNge,
aise jalve ke jo maiN dekh rahaa huuN tujh meN,
paas itnaa ke terii saaNsoN se Takraatii hai saaNs,
duur itnaa ke tujhe dhuuNd rahaa huuN tujh meN,
bevafaa terii zubaaN par ye vafaa kii baateN,
aisaa lagtaa hai ke maiN bol rahaa huuN tujh meN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 401