donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Jaipuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Raham ai gham-e-jaanaaN baat aa gaii yaaN tak *
Raham ai gham-e-jaanaaN baat aa gaii yaaN tak,
dasht-e-gardish-e-dauraaN aur mere garebaaN tak,
kaun sar ba kaf hoga, jashn-e-daar kya hoga,
zoq-e-sarfaroshi hai ek dushman-e-jaaN tak,
hamasafeer phir koii haadasaa hua shaayad,
ik sajab udaasi hai gulsitaaN se zindaaN tak,
hamnashiiN baharoN ne kitne aashiaN phuunke,
ham to kar hi kya lete, so gaye nigehbaaN tak,
ik ham hi lagaayenge khaar-o-khas ko seene se,
varnaa sab chaman mein hain, mausam-e-bahaaraaN tak,
mere dastak-e-vahshat ko aaj rok lo varanaa,
faasilaa bahut kam hai haath se garebaaN tak,
hai ‘Shamim’ azal hi se silsilaa muhabbat kaa,
halqaa-e-salaasil se gesoo-e-pareshaaN tak.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 467