|
* Tasir e chashm e tar na dikha du'n to baat kya *
Tasir e chashm e tar na dikha du'n to baat kya,
Un ko bhi ek din na rula du'n to baat kya,
Rah e junun e shauq may barhane ki der hai,
Manzil jagah jagah na bana du'n to baat kya,
Saqi se bas nigah milane ki der thi,
Alam ko mayakada na bana du'n to baat kya,
Mere niyaz e ishq ki kya baat hai `shamim`,
Qadamo'n may husn ko na jhuka du'n to baat kya.
|
|