* Ajab sa ab iraada kar raha hai *
Ajab sa ab iraada kar raha hai
likhe auraaq saada kar raha hai
ghazal mei'n gholta hai ras labo'n ke
abhi teekhii zyada kar raha hai
thee is ke haath mei'n sandal see lakrhi
naa jaane kyo'n burada kar raha hia
chupane se nahii chupta hai lahja
agar woh irada kar raha hai
nahi mabaed ka chakkar nahii hai
faqat azhaan taazah kar raha hia
|