donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamsur Rahman Faruqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Is se pahle kii naqaab-e-gul-o-gulzaar meN poshiidaa kahiiN *
Is se pahle kii naqaab-e-gul-o-gulzaar meN poshiidaa kahiiN,
apne paivand lage jubba-e-sadrang meN malbuus,
masKhara maut ka mere chamanistaan-e-dar-o-baam par kaalik liye,
haaNpte jism theatre ke khilaaDi kii taraH,
hastii-e-mauhuum ka ek saaya-e-be-vazan baneN
suurat-e-be-shakl baneN,
is se pahle ki samandar lab-afsos ko hilaa kar shab-e-mahtaab ke tukDe kar de,
is se pahle ki hazaaroN mah-o-Khurshiid kii taabish se fazuuNkhezah kunaaN maut ,sifat zarra-e-naachiiz koii,
baam-e-aKhlaaq se phaT kar sar-e-getii par gire,
jaagtii sotii gulaabii lab-o-rukhsaar kii guDiyaa kaa jigar chaak kar de,
is se pahle ki yah ho,
is se pahle mujhe mar jaane kii mohlat do,
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 417