donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shan Bharti
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo raah me'n chuni hai woh itni sooni hai *
Jo raah me'n chuni hai woh itni sooni hai
Ke un ki yaad na aaye to bad shaguni hai

Woh sab se milta hai us se koii nahi'n milta
Ke aadmi hai wo mukhlis magar januni hai

Thahar ke rah gaya yeh sach bhi meri aa'nkho'n me'n
Ke mere shahar ka musannif bhi mera khuni hai

Bigarh chuka hai tawazun ma'ash ka lekin
Har ek jins yaha'n qeemato'n me'n dooni hai

Agarche roz naye qafile nikalte hai'n
Rahe deyare hunar phir bhi sooni sooni hai

Milo jo "Shan" kisi se to muskurake milo
Khule kisi pe na jo karb androoni hai

Editor "Rang" Qaurterly, Sijua, Dhanbad-828121 (Jharkhand)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 459