donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KHILONA MOUT BHI HAI...A NAZM *
Mere jism ke paintaron se paresha thi wo
maine samjhana chaha use
khuda jaanta hai
ki ratti barabar mujhe aur jeene ki khwahish nahi
sach to ye hai
aaise mehmaan se muh chupana ki jo
sirf mere liye aasmanon se aaya ho
sharminda karta hai mujhko
bhala eik insa ke bas me kahan mout ko chedhna
mai to darr,ta hun tumse
ye koyi aur hai jo
mere sard pairon ko phir garm karke tumhe chedhta hai
mere ghar ke chakkar lagane pe majboor karta hai
magar wo sisakti rahi
apne pairon ke chalon ko roti rahi
aur mai hairat zada
sochne par ye majboor tha
kya meri mout bhi
mere marne ke din
meri sanson ki ginti ke baare me utni hi anjaan hai?
jitna mai....shariq kaifi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 341