donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* nahi ye sab meri dewaangi hai *
nahi ye sab meri dewaangi hai
kooi tasweer bhi kya bolti hai
 
ise ab qehqahon me dafn kar do
ye khamoshi bahut kuch jaanti hai
 
sahar ke rang gehre ho gaye hain
ki meri neend poori ho gaye hai
 
mujhe kya khouff suraj doobne ka
meri apni hi itni roshni hai
 
hawa pairo se itna bhi na uljhe
meri zanjeer tooti ja rahi hai
 
gaye deewar choo kar lout aaye
yahin tak khel se wabastgi hai
 
abhi tak kyu teri parwa nahi thi
tera dukh aaj hi kyun qeemti hai
 
jhijhaktaa hun use ilzaam dete
kooi ummed ab bhi tokti hai
 
kabhi maazi ka aaeina bhi dekho
andheron ki bhi apni roshni hai
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 319