donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wo bakra phir akela pad gaya hai *
Wo bakra phir akela pad gaya hai
ki mera haath bhi
donge me achchi botiyon ko dhondta hai
wohi bakra
khada rakhkha gaya hai jis ko kone me nigahon se chupakar
wo jiski zindagi hai munhasir is baat par
ki ham khayenge kitna
aur kitna chodh denge bas yunhi apni platon me
abhi kuch dair pehle mai khada tha paas jiske
aur jiske zawiye se dekh kar mehfil ko
aankhein dabdaba aayein thin meri
magar wo pal kabhi ka ja chuka hai
ki ab hun maiz par mai
aur mera hath bhi donge me achchi botion ko dhondta hai
wo bakra phir akela pad gaya hai.....shariq kaifi
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368