donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* JEET GAYA JEET GAYA....A NAZM *
aao ab dhoondo mujhe
phisaddi keh ke mujhko chedne walon
haraao ab mujhe
haan
mujhe bhi khel lagta tha ye sab kuch ibtida me
magar ye bhi to socho
musalsal haar kooi khel hai jo khel isko maan leta mai
kahan tak haarta mai
mere chupne ke sab kone ujaagar ho gaye the
bahut aasaan hota jaa raha tha dhoondna mujhko
mujhe ab jeetna tha
kisi qeemat pe mujhko jeetna tha
so maine ye kiya
wo aahat jo meri dushman rahi thi aaj tak
maine usi ko maar daala
aur jaakar chup gaya khud
qabr ke takhton ke peeche
manon mitti ke neeche....shariq kaifi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 319