donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KHARE ISHQ KA ALMIYA...A NAZM *
buzdili ki bhi hadd hai
kis liye aur kyun
hum uchal kood karte phirein manzilon manzilon
laash seene se apne lagaye hue un dinon ki
ki jab ishq aadha adhoora tha aur raaste me the hum
mohabbat ka hadd se guzarna hi bekaif karta hai usko
khara ishq yun bhi udaasi hai
gehri udaasi
kisi bhi tarah ke junun aur lafzon se khaali
theek baarish se pehle ki jaise ghutan
saans lena bhi mushkil ho jisme
bewafaai ka pankha jhalo
maan lo
is musalsal aziat se 
ilzaam sar lene wala hi achcha
utha le jo khud bewafaai ki tohmat
wohi humme sachcha....shariq kaifi
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 351