donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KISI KE SAMAJHDAAR HONE TALAK....A NAZM *
qabr kya dhondnaa
mit gaye honge uske nisha
kahin bhi jalakar laga dun agarbattiyan
muddaton baad bhi
wird karte hue sura e fataha ka
wohi goonj kanon me hai
tera baap kya rooz peeta hai?
ufff
wo jo sharmindgi ka sabab ho bhala usse kaise mohabbat
aur waise bhi
eik bachche ki nafrat se sachcha kooi aur jazba nahi
dafn ke waqt bhi to mai dil me kahin un se naraaz tha
magar aaj khud jab mai us umr me hun
jo papa ki shayad rahi hogi tab 
jab mai rootha tha unse
mere dil me ehsaase jurm
aur sharmindgi ke siwa kuch nahi
aap sun to rahe hain na papa?
muafi mujhe chahiye
kya ye mumkin hai?
phir khud se kehta hun shayad nahi
wo gaye
kooi rukta nahi hai kisi ke samajhdaar hone talak
sach ki teh me utarne ke laayaq gunagaar hone talak....shariq kaifi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 331