donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* pehle sabko yehi to laga tha mai nashshe me hun *
pehle sabko yehi to laga tha mai nashshe me hun
muh bhi soongha mera
magar jab unhein koyi badbu na aayi to wo darr gaye
mujhpe sikke lutane lage
mutma,in ho gaye hote wo 
baat agar sirf peene pilane ki hoti
magar beech bazaar me
eik bandar ka haath
haath me thaam kar naachne ka jawaaz
khud mere paas hi jab nahi tha to wo kya samajte
dud dugi baj rahi thi kahin
aur mai
paseene me lat path 
sadak par qalabaziyan kha raha tha
mere saare purane madari
doctor saab bhi jinme shamil the aur meri maa bhi
naman kar rahe the mera
jai hanumaan ji keh ke biwi charan chu rahi thi mere
tab ye mujhpar khula
aaj se ye nahi
mai madari hun inka
nachne ka mere waqt poora hua
hanumaan ji jaate jaate
mere haath me dud dugi de gaye hain....shariq kaifi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 329