* kahin na tha wo dariya jiska saahil tha mai *
kahin na tha wo dariya jiska saahil tha mai
aankh khuli to ek sehra ke muqabil tha mai
haasil karke tujhko ab sharminda saa hun
tha ek waqt ki sachmuch tere qaabil tha mai
kis ehsaase jurm ki sab karte hain tawaqqo
ek kirdaar kia tha jisme qaatil tha mai
koun tha wo jisne ye haal kia hai mera
kisko itni aasaani se haasil tha mai
jinpar mai thoda saa bhi aasaan hua hun
wohi bata sakte hain kitna mushkil tha mai
saari tawajja dushman par markooz thi meri
apni taraf se to bilkul hi ghafil tha mai
****** |