|
* Mai wo teesra hun *
Mai wo teesra hun
jo khud ko gunagaar mehsoos karne ko majboor hota hai
har waqaye me
har ek haadse ki jaga par
ajab imtiha hai
agar chup rahun to kabutar ko kha jaye billi
uda dun
to billi mujhe kosti hai
ki maine use aaj faaqa karaya
meri haar dono taraf se hai
aur wo bhi us jung me
jisse mera koyi door ka bhi ta,alluq nahi hai
bazahir.....shariq kaifi
|
|