* zabt ko sochkar kharch karta hun mai *
zabt ko sochkar kharch karta hun mai
har kisi par nahi
har jaga par nahi
isliye meri aankhein kabhi khushk hoti nahi
aaisa lagta hai har baat par
jaise rone ko tayyar baitha hun mai
doston se huyi badzubani pe bhi
dukh bhari doosron ki kahani pe bhi
yun
ki mai zabt ko kharch karna nahi chahta
aaise waisi kisi baat par
haan magar
bade waqa,ye jab hue
yahan tak ki jab mere ghar se janaze uthe
tab kisi ne meri aankh me eik aansu bhi dekha nahi
koyi ye sochta hai agar
ki usne mujhe apne gham me rulakar
bada maarka koyi sar kar liya hai
to paagal hai wo.....shariq kaifi
******* |