donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shehzad Ahmed
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tay honge kis tarah ye marahil kaha na jae *
Tay honge kis tarah ye marahil kaha na jae
is tiragi may kya hai muqabil kaha na jae

Khud de diye hain main ne use hath kat kar
wo likh diya hai jo sar e mahafil kaha na jae

Patthar hue wo lafz ke the jite jagate 
is khamashi se kya hua hasil kaha na jae

Ab tak to chal rahen hain tere sath sath ham 
ayengi kis jagah had e fasil kaha na jae

Nasha hai ya ke zahar fiza may mila hua 
kuch hai har ek chiz may shamil kaha na jae

Akhir kahin to baith gaye panw tor kar 
phir kya kahenge agar ise manzil kaha na jae

Ye aur bat kuch bhi dikhai na de sake 
ankhen khuli hui hon to gafil kaha na jae
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 303